• NASIHAT NUMBER [[01]]
Meri piyari beti - meri aankhoon ki thandak - shohar kay ghar jaker qinaa'at wali zindagi guzarnay ka aehtmaam karna - jo daal roti milay us per raazi rehna - jo rokhi sokhi shohar ki khushi kay sath mil jaye wo is murg pilao say behtar hay jo tumharay israar karnay per isnay naraazgi say diya ho.
• NASIHAT NUMBER [[02]]
Meri piyari beti - is baat ka khayaal rakhna k apnay shohar ki baat ko hamesha tawajja'h say sunna aur isko hemiyat dena aur har haal may un ki baat per amal karnay ki koshish karna istarah tum un kay dil may jaga'h banalogi kiyo kay asal aadmi nahi aadmi ka kaam piyara hota hay.
• NASIHAT NUMBER [[03]]
Meri piyari beti apni zeenat o jamaal ka aesa khiyaal rakhna k jub wo tujhay nigaah bhar kay dekhay to apnay intekhaab per khush ho aur saadgi kay sath jitni bhi isteta'at ho khushbo ka aehtmaam zaroor karna aur yaad rakhna k teray jisam o libaas ki koi bu ya koi buri hayyi'at isay nafrat o karaahat na dilaaye.
• NASIHAT NUMBER [[04]]
Meri piyari beti apnay shohar ki nigaah may bhhali maloom honay kay liye apni aankhoon ko surmay aur kajal say husan dena kiyo kay ye pur kashish aankhain puray wajood ko dekhnay walay ki nigahoon may jacha deti hain - gusal aur wazu'o ka aehtmaam karna k ye sub say achi khushbo hay aur litafat ka behtreen zariya hay.
• NASIHAT NUMBER [[05]]
Meri piyari beti in ka khana waqt say pehlay hi aehtmaam say tayyaar rakhna kiyo kay dair tak bardasht ki janay wali bhook bhardhaktay huwe shoulay ki maanind ho jati hay aur in kay aaraam karnay aur neend puri karnay kay aoqaat may sukoon ka mahool banana kiyo kay neend adhori rehjaye to tabiyat may ghussa'h aur chirdhchirdha pan paida hojata hay.
• NASIHAT NUMBER [[06]]
Meri piyari beti in kay ghar aur inkay maal ki nigraani ya'ani in kay bagair ijazaat koi ghar may na aaye aur in ka maal lughviyaat , numaayish o faishon may barbad na karna kiyo kay maal ki behtar nigehdaasht husan intezaam say hoti hay aur aehl o ayaal ki behtar hifaazat husan tadabbur say hay.
• NASIHAT NUMBER [[07]]
Meri piyari beti in ki raazdaar rehna - in ki nafarmaani na karna kiyo kay in jesay ba'roub shukhs ki nafarmaani jalti per tail ka kaam karay gi aur tum ager is ka raaz dusroon say chhupa kar na rakh saki to iska aetmaad tum per say hat jayainga aur phir tum bhi iskay dorukhay pan say mehfooz nahi rehsakoon gi.
• NASIHAT NUMBER [[08]]
Meri piyari beti jub wo kisi baat per gamgeen hoon to apni kisi khushi ka izhaar in kay saamnay na karna ya'ani in kay gham may baraaber ki shareek rehna - shohar ki kisi khushi kay waqt gham kay asraat chehray per na lana aur na hi shohar say in kay kisi rawayye ki shikayat karna - in ki khushi may khush rehna - warna tum in kay qalb kay makdar karnay wali shumaar hogi.
• NASIHAT NUMBER [[09]]
Meri piyari beti agar tum in ki nigahoon may qaabil e takreem banna chahti ho to is ki izzat aur aehtraam ka khoob khiyaal rakhna aur uski marziyaat kay mutabiq chalna ho to is ko bhi hamesh hamesha apni zindagi kay her her marhalay may apna behtreen rafeeq paon gi.
• NASIHAT NUMBER [[10]]
Meri piyari beti meri is nasihat ko pallo say baandhlo aur is per girah laga lo k jub tak tum in ki khushi aur marzi ki khati kayi baar apna dil nahi maaro gi aur in ki baat auper rakhnay kay liye khuwa tumhain pasand ho ya napasand - zindagi kay kayi marhaloon may apnay dil may authnay wali khuwaahishoon ko dafan nahi karogi us waqt tak tumhari zindagi may bhi khushiyoon kay phool nahi khilain gay.
• Aey !! Meri piyari aur laadli beti in naseehatoon kay sath may tumhain ALLAH kay hawalay karti hooo ALLAH TA'ALA zindagi kay tamaam marhaloon may tumharay liye khair muqaddar farmayain aur her burayi say tum ko bachaye.
• Aameen summa'h aameen •
No comments:
Post a Comment