Front - The Prophet Muhammed

Wednesday, July 31, 2013

◆KUTTAY KI 10 SIFAAT◆

HEWAAN apnay Maalik ka ziyada wafadaar hota hay jubkay INSAAN apnay Parwardigaar ka itna Wafadaar nahi hota
HAZRAT HASAN BASRI REHMAHULLAH Faramaya kartay tha k KUTTAY kay ander 10 SIFAAT Aesi hain k Ager in may say 1 SIFAT bhi insaan kay ander peda hojaye to wo Waliullah banjaye
FARMATAY HAY K
=NUMBER 01
KUTTAY kay ander Qana'at hoti hay jo Mil jaye ye usi per Qana'at karleta hay , Raazi hojata hay ,
Ye Qani'aeen ya Saabireen ki Alaamat hay
NUMBER 02
KUTTA aksar Bhooka rehta hay
Ye Sualiheen ki Nishani hay
NUMBER 03
Koi 2usra KUTTA is per Zor ki waja'h say Gaalib aajaye to ye Apni jaga'h Chordh ker 2usri jaga'h chala jata hay
Ye Raziyeen ki Alaamat hay
NUMBER 04
Is ka Maalik isay Maaray bhi to ye Apnay Maalik ko Chordh kar nahi jata
Ye Saadiqeen ki Nishani hay
NUMBER 05
Ager is ka Maalik betha Khana kharaha ho to ye bawajood Taqat aur Quwat kay is say Khana nahi Chheenta , Door say hi beth ker dekhta rehta hay
Ye Masaakeen ki Alaamat hay
NUMBER 06
Jub Maalik apnay Ghar may ho to ye Door Jootay kay paas betht jaata hay . Adna'aa jaga'h pe Raazi hojata hay
Ye Mutawaziaeen ki Alaamat hay
NUMBER 07
Ager is ka Maalik isay Maaray aur ye Thhordhi Dair kay liye chala jata hay aur phir Maalik isay 2ubara Tukrdha daal day to 2ubara aaker Khana khaleta hay is say Naraaz nahi hota
Ye Khashiaeen ki Alaamat hay
NUMBER 08
Duniya may rehnay kay liye is ka Apna koi Ghar nahi hota
Ye Mutawakkileen ki Alaamat hay
NUMBER 09
Raat ko ye Bohot kum Sota hay
Ye Muhabbiyeen ki Alaamat hay
NUMBER 10
Jub Marta hay to is ki koi Meraas nahi hoti
Ye Zahideen ki Alaamat hay
Gour karain k kiya in SIFAAT may say koi SIFAT hum may bhi Moujood hay ?
Hum nay to Jahunnum ki Bohot ki Tadbeer
Lekin teri REHMAT nay Gawara na kiya
◆◆◆BIKHRAY MOTI PAGE 63◆◆◆

1 MAA'N KI APNI BETI KAY LIYE 10 NASEEHATAIN


• NASIHAT NUMBER [[01]]
Meri piyari beti - meri aankhoon ki thandak - shohar kay ghar jaker qinaa'at wali zindagi guzarnay ka aehtmaam karna - jo daal roti milay us per raazi rehna - jo rokhi sokhi shohar ki khushi kay sath mil jaye wo is murg pilao say behtar hay jo tumharay israar karnay per isnay naraazgi say diya ho.
• NASIHAT NUMBER [[02]]
Meri piyari beti - is baat ka khayaal rakhna k apnay shohar ki baat ko hamesha tawajja'h say sunna aur isko hemiyat dena aur har haal may un ki baat per amal karnay ki koshish karna istarah tum un kay dil may jaga'h banalogi kiyo kay asal aadmi nahi aadmi ka kaam piyara hota hay.
• NASIHAT NUMBER [[03]]
Meri piyari beti apni zeenat o jamaal ka aesa khiyaal rakhna k jub wo tujhay nigaah bhar kay dekhay to apnay intekhaab per khush ho aur saadgi kay sath jitni bhi isteta'at ho khushbo ka aehtmaam zaroor karna aur yaad rakhna k teray jisam o libaas ki koi bu ya koi buri hayyi'at isay nafrat o karaahat na dilaaye.
• NASIHAT NUMBER [[04]]
Meri piyari beti apnay shohar ki nigaah may bhhali maloom honay kay liye apni aankhoon ko surmay aur kajal say husan dena kiyo kay ye pur kashish aankhain puray wajood ko dekhnay walay ki nigahoon may jacha deti hain - gusal aur wazu'o ka aehtmaam karna k ye sub say achi khushbo hay aur litafat ka behtreen zariya hay.
• NASIHAT NUMBER [[05]]
Meri piyari beti in ka khana waqt say pehlay hi aehtmaam say tayyaar rakhna kiyo kay dair tak bardasht ki janay wali bhook bhardhaktay huwe shoulay ki maanind ho jati hay aur in kay aaraam karnay aur neend puri karnay kay aoqaat may sukoon ka mahool banana kiyo kay neend adhori rehjaye to tabiyat may ghussa'h aur chirdhchirdha pan paida hojata hay.
• NASIHAT NUMBER [[06]]
Meri piyari beti in kay ghar aur inkay maal ki nigraani ya'ani in kay bagair ijazaat koi ghar may na aaye aur in ka maal lughviyaat , numaayish o faishon may barbad na karna kiyo kay maal ki behtar nigehdaasht husan intezaam say hoti hay aur aehl o ayaal ki behtar hifaazat husan tadabbur say hay.
• NASIHAT NUMBER [[07]]
Meri piyari beti in ki raazdaar rehna - in ki nafarmaani na karna kiyo kay in jesay ba'roub shukhs ki nafarmaani jalti per tail ka kaam karay gi aur tum ager is ka raaz dusroon say chhupa kar na rakh saki to iska aetmaad tum per say hat jayainga aur phir tum bhi iskay dorukhay pan say mehfooz nahi rehsakoon gi.
• NASIHAT NUMBER [[08]]
Meri piyari beti jub wo kisi baat per gamgeen hoon to apni kisi khushi ka izhaar in kay saamnay na karna ya'ani in kay gham may baraaber ki shareek rehna - shohar ki kisi khushi kay waqt gham kay asraat chehray per na lana aur na hi shohar say in kay kisi rawayye ki shikayat karna - in ki khushi may khush rehna - warna tum in kay qalb kay makdar karnay wali shumaar hogi.
• NASIHAT NUMBER [[09]]
Meri piyari beti agar tum in ki nigahoon may qaabil e takreem banna chahti ho to is ki izzat aur aehtraam ka khoob khiyaal rakhna aur uski marziyaat kay mutabiq chalna ho to is ko bhi hamesh hamesha apni zindagi kay her her marhalay may apna behtreen rafeeq paon gi.
• NASIHAT NUMBER [[10]]
Meri piyari beti meri is nasihat ko pallo say baandhlo aur is per girah laga lo k jub tak tum in ki khushi aur marzi ki khati kayi baar apna dil nahi maaro gi aur in ki baat auper rakhnay kay liye khuwa tumhain pasand ho ya napasand - zindagi kay kayi marhaloon may apnay dil may authnay wali khuwaahishoon ko dafan nahi karogi us waqt tak tumhari zindagi may bhi khushiyoon kay phool nahi khilain gay.
• Aey !! Meri piyari aur laadli beti in naseehatoon kay sath may tumhain ALLAH kay hawalay karti hooo ALLAH TA'ALA zindagi kay tamaam marhaloon may tumharay liye khair muqaddar farmayain aur her burayi say tum ko bachaye.
• Aameen summa'h aameen •

FIQAHI ISTILAAHAAT

Bismillaahir Rahmaanir Raheem
FIQAHI ISTILAAHAAT

FARZ: Wo Hukm hai Jiska Lazoom DALEEL QATA'I se saabit ho.


Daleel Qata'i 3 Cheezein hain:
1. Qur'an ki Aayat Jiske ma'na me A'immah ka Iqtilaf Na ho.
2. Hadees Mutawatir, Jis Hadees ke Raavi is Qadar Zyadah ho ke Un Sab ka Jhoota hona Aqlan Muhaal ho. Aur Ye Zyadati Shuroo' se Akheer Raavi tak har Tibqah me rahe.

3. Ijma'-e-Ummat se Jaise 5 Waqt ki Namaz.
FARZ ka MUNKAR KAAFIR hai. Bila Uzr chhorne wala FAASIQ aur AZAAB-E-ALEEM KA MUSTAHIQ hai.

FARZ KI 2 QISMEIN HAIN:
1. FARZ-E-AYN: Ya'ni Jiska adaa karna Har Shaqs par Zaroori ho. Jaise Namaz, Rozah, Zakath, Hajj, Islami Aqaa'id aur Farz Ibadaton ka seekhna. Isko bila Uzr chhorne wala FAASIQ aur GUNAH-GAAR hai.

2. FARZ-E-KIFAAYAH: Jo Ek 2 Aadmiyon ke adaa karne se Sab ke Zimmah se Utar Jaayega. Koi bhi Na kare to Sab Gunahgaar honge Jaise Namaz-e-Janazah, Aalim-e-Deen banna.

NAMAZ KE FARAA'IZ:
 se matlab Wo Cheezein hain ke Inke Chhoot Jaane se Namaz Nahi hoti. Aur Namaz Lautaana FARZ hota hai.


WAAJIB: Wo Hukm hai Jiska Lazoom DALEEL ZANI se saabit ho.

Daleel Zani 3 Cheezein hain:
1. Qur'an ki Aayat Jiske ma'ne me Doosra bhi Ahtemaal (possibility) ho.

2. Aisi Hadees Jiske Raavi bohat Na ho ke TAWATUR ke darjah ko Pohnche.

3. Qiyaas Ahle Ijtihaad.

Waajib ki misaal FARZ Namaz ki Jama't, Eidein ki Namaz waghera.
WAAJIB KI 2 QISMEIN HAIN:
1. WAAJIB-E-AYN: Jiska adaa karna Har Musalman par Alhaidah Alhaidah WAAJIB hai. Jaise Namaz WITR, Namaz EID waghera.

2. WAAJIB-E-KIFAAYAH:
 Aisa Waajib hai ke Agar Kuch Musalman adaa Karein to Sab ki taraf se adaa ho Jaaye, Warna Sab Gunahgaar honge Jaise Tableegh-e-Deen.

NAMAZ KE WAAJIBAAT: Ka Hukm Ye hai ke Jiska Namaz me Adaa Karna Zaroori hai. Isko Qasdan chhorne se Namaz to ho Jati hai magar NAAQIS Ya'ni MAKROOH-E-TEHREEMI, WAAJIB AL-I'AADAH hoti hai. Haan.! Agar Wajib bhoole se Chhoot Jaaye to Uske liye Sajdah Sahoo kaafi hota hai. Haan.! Agar Sajdah Sahoo Na kiya to Namaz Waqt ke andar Lautaani WAAJIB hai.


SUNNAT: Jis Cheez ko Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ne Ya Sahaba-e-Kiraam (rizwaanullahi ajma'een) ne Kiya ho Ya Karne ka Hukm diya ho.

SUNNAT ki 2 Qismein hain:

1. SUNNAT-E-MU'AKKIDAH: Wo Kaam Jise Huzoor (sallallahu alaihi wa sallam) Aksar Karte rahe ho Ya Karne ke liye farmaya ho. Aur bila Uzr Kabhi Na Chhora ho Jaise SUBAH (FAJAR) ki Sunnatein. Iska Chhorna GUNAAH hai.

2. SUNNAT-E-GHAIR MU'AKKIDAH: Wo Kaam Jise Huzoor (sallallahu alaihi wa sallam) ne Aksar kiya ho, aur Kabhi bila Uzr Chhor bhi diya ho. Aisi SUNNAT ke chhorne se GUNAAH Nahi hota Jaisa ke Asar ki Sunnatein.

Phir SUNNAT ki Aur 2 Qismein hain.
1. SUNNAT-E-AYN: Jiska adaa karna Har Musalman ke liye Alhaidah Alhaidah Sunnat hai Jaise Aam Sunnatein.

2. SUNNAT-E-KIFAAYAH: Aisi Sunnat ke Agar Kuch Musalman adaa karein to Sab ki taraf se Adaaygi ho Jaaye Warna Sab par Sunnat Chhorne ka Baar rahega Jaise A'itekaaf.

NOTE# 1: Jis Sunnat ka Saboot Hadees-e-Mutawatir se ho Uska MUNKAR KAAFIR ho jata hai aur Jis Sunnat ka Saboot Hadees-e-Mash'hoor se ho Uska Munkar FAASIQ ho jata hai. Agar Sunnat ka saboot Hadees Ahaad se hai to Uske Munkar ko BID'ATI kehte hain. Agar Sunnat Ittifaqan TARK ho Jaye to Kuch HARJ Nahi. Agar Aadat Kar li to Uske TARK par Usko Malaamat karna chahiye. Wo Gumraah hai aur Shifa'at se Mehroom rahega.

NOTE# 2: Namaz me Sunnat-e-Mu'akkidah qasdan Ya sehvan chhoot Jaaye to Namaz Makrooh Tanzeehi hogi. Namaz ka I'aadah Ya'ni Dohraana Nahi hai, Albatta Sawaab Kam ho Jaayega.


MUSTAHAB: Jis kaam ke karne ka Sawaab Huzoor (sallallahu alaihi wa sallam) ne bayaan farmaya ho, aur Us par Khud bhi amal kiya ho, aur Wo Ibadat ke Baab se ho Aadat ke Baab se Na ho. Mustahab ke karne me Sawaab hai, Na karne me Koi Azaab Nahi hai. Mustahab ka Munkar Na to Kafir hai Na Faasiq, Na Bid'ati. Haan Karne wala Sawaab aur Fazeelat ka Mustahiq hai.


MUBAAH: Wo Kaam Jiske Karne me Na Sawaab ho aur Na, Na karne me Gunaah ho.


NAFL: Jis cheez ki Fazeelat aayi ho aur Karne me Sawaab ho, aur Chhorne me Azaab Na ho, Nafl ko Mustahab, Mandoob aur Tatoo' bhi kehte hain.


HARAAM: Wo Kaam Jiski Hurmat aur Mukhalifat Daleel Qata'i se sabit ho Jaise Jhooti Gawaahi dena, Choghli, Chori, Sharaab peena, Sood lena, Rishwat, Juwa waghera.
HARAAM ka Munkar Kaafir ho jata hai, aur baghair Uzr ke Iska Murtakib FASIQ aur MUSTAHIQ Azaab wa Saza hota hai.


MAKROOH: Ya'ni Na-Gawaar (Na-Pasandeedah) aur Bura.

MAKROOH ki 2 Qismein hain:
1. MAKROOH-E-TEHREEMI: Jiski mumaani'at aur Na-Pasandeedgi Daleel Zani se ho. Aisa bura Kaam Jo Haraam ke qareeb qareeb ho. Makrooh-e-Tehreemi ka Munkar Kafir to Nahi hota lekin Amal me laane wale Fasiq aur Azaab ka Mustahiq hota hai.

2. MAKROOH-E-TANZEEHI: Tanziyah ke ma'na PAAK wa SAAF hain. Makrooh-e-Tanzeehi aisa Fa'l hai Jo Paak-baaz ko Nahi karna Chahiye. Ya'ni aisa bura Kaam Jiski buraayi ma'mooli ho, Shari'at me Ghair-Munaasib samjha jaata ho, Iska chhorna Achha hota hai, aur Karna PAAK-BAAZI ke khilaf hai. Bach Jaaye to Sawaab ka Mustahiq hota hai.

NOTE: Namaz me Makrooh-e-Tehreemi se bachna Zaroori hai aur Iske karne se Gunaah hota hai. Aur Makrooh-e-Tanzeehi ka Karna Khilaf-e-Aulaa hai.