SEERAT QUIZ
NABUWWAT SE PEHLE KE HALAAT
1) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ka kya Naam hai?
Ans: MOHAMMAD (Sallallahu Alaihi Wasallam)
2) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)kab paida hue?
Ans: 9 ya 12 Rabi ul Awwal Peer ke Din (Monday). 20/22-April-571.
3) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)paida hue so saal ko kya kehte hai?
Ans: Aam-ul-Feel(Hathion ka Saal).
4) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Walid ka Naam batayye?
Ans: Abdullah Bih Abdul Muttalib.
5) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Waleda ka Naam batayye?
Ans: Amena Binte Wahab.
6) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Dada ka Naam batayye?
Ans: Abdul Muttalib Bin Hashim.
7) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Dadi ka Naam batayye?
Ans: Fatima Binte Amr.
8) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Nana ka Naam batayye?
Ans: Wahab Bin Abdu Munaf.
9) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Nani ka Naam batayye?
Ans: Barra Binte Abdul ‘Uzza.
10) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ka Kis Qabeele se Ta’lluq tha?
Ans: Quraish.
11) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Khandan ka Naam kya hai?
Ans: Banu Hashim.
12) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Walid ka Inteqal kab hua?
Ans: Ap(S)ki Wiladat se 2 Mahine pehle.
13) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Waleda ka Inteqal kab hua?
Ans: Jab Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Omer 6 saal thi.
14) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Waleda ke Inteqal ke Baad Apki Parwarish kisne ki?
Ans: Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Dada Abdul Muttalib ne.
15) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Dada ka Inteqal kab hua?
Ans: Jab Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Omer 8 Saal thi.
16) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Dada ke Inteqal ke baad Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki parwarish kisne ki?
Ans: Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Chacha Abu Talib ne.
17) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke kitne Chacha the aur unke Naam batayye?
Ans: Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke 10 Chacha the .
1.Abbas,2.Hamza,3.Abu Lahab,4.Abu Talib,5.Zubair,6.Haris,7.Maqwam,8.Hajil,9.Zirar,10.Qasum.
18) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke kitne Phoophu the aur unke Naam batayye?
Ans: Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke 6 Phoophuen thi.
1.Umme Hakeem,2.Aatika,3.Barrah,4.Umaima,5.Arwaa,6.Safiyya.
19) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke kitne Chachaon ne Islam Qubool kiya, unke Naam batayye?
Ans: Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke 2 Chachaon ne Islam Qubool kiya.
Hamza(razi Allahu Anhu) aur Abbas(razi Allahu Anhu).
20) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke kitne phuphuo ne Islam Qubool kiya unke Naam batayye?
Ans: Sirf Safiyya(razi Allahu Anhu) ne Islam Qubool kiya.
21) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ko ki kis ne Doodh pilaya?
Ans: Apki Waleda Bi Bi Amena, Haleema Sadiya(razi Allahu Anhu) aur Suweba(razi Allahu Anhu) ne.
22) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Razaai Bahen or Bhai ke Naam batayye? Note: Razaai Bhai matlab Ek Aurat ka jab 2 ladke Doodh peete hai to Dono Razaai Bhai hote hai.
Ans: 1.Hamza(razi Allahu Anhu),2.Abu Salma,3.Abdullah(razi Allahu Anhu),4.Jafar(razi Allahu Anhu),5.Sufyan Bin Haris(razi Allahu Anhu),6.Masrooh(razi Allahu Anhu),7.Huzaifa,8.Sheema(razi Allahu Anhu),9.Unaisa.
23) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Chacha me Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ka Dushman kaun tha?
Ans: Abu Lahab.
24) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ko 2 Zabeeh(Zubah kiye hue) ki Aulad kyu kaha jata hai?
Ans: Kyu ke Ao(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Nasab me 2 Logo ko Zabah kiya jane wala tha.
25) Wo 2 Zabeeh ke Naam batayye?
Ans:1. Ismail(AS),2. Apke Walid Abdullah.
26) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)Haleema Sa’dya (razi Allahu Anhu) ke pas kitne Saal rahe?
Ans: 6 Saal tak.
27) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Waleda ka Inteqal kis Jagah hua?
Ans: Maqaame Abwaa par.
28) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne kitne Nikah kiye?
Ans: Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne Jumla 11 Nikah kiye.
29) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Azwaaj-E-Mutahharat (wives) ke Naam batayye?
Ans: 1.Khadija Binte Khauled(razi Allahu Anhu),2.Sauda Binte Zam’aa(razi Allahu Anhu),3. Ayesha Binte Abu Bakr(razi Allahu Anhu),4.Hafsa Binte Umar(razi Allahu Anhu),5.Zainab Binte Khuzaima(razi Allahu Anhu),6.Umme Salma Binte Abu Umayya(razi Allahu Anhu),7.Zainab Binte Jahash(razi Allahu Anhu),8.Juweria Binte Haris(razi Allahu Anhu),9.Umme Habeeba Binte Abu Sufyan(razi Allahu Anhu),10.Safiyya Binte Hai(razi Allahu Anhu),11.Maimoona Binte Haris(razi Allahu Anhu).
30) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ka pehla Nikah kis se hua?
Ans: Hazrat Khadija(razi Allahu Anhu) se.
31) Nikah ke waqt Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Omer kitni thi Or Khadija (razi Allahu Anhu) ki Omer kitni thi?
32) Ans: Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Umar Mubarak 25 saal aur Khadija(razi Allahu Anhu) ki 40 saal thi.
33) Khutbe Nikah kisne padha?
Ans: Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Chacha Abu Talib ne.
34) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne kitna Mehar ada kiya?
Ans:20 Oont.
35) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Aulaad ke Naam batayye? Or wo kitne the?
Ans: Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke 3 Bete(Sons)
aur 4 Betyan(daughters) the.
Sons:
1.Qasim(razi Allahu Anhu),2.Abdullah(razi Allahu Anhu),3.Ibrahim(razi Allahu Anhu)
Daughters:
1.Zainab(razi Allahu Anhu),2.Ruqayya(razi Allahu Anhu),3.Umme Kulsoom(razi Allahu Anhu),4.Fatima(razi Allahu Anhu).
36) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki kunniyyat kya thi?
Ans: Abul Qasim(S).
37) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne Mulk Sham ka pehla Safar kab kiya?
Ans: Jab Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Omer Mubarak 12 Saal thi.
38) Sham ke Safar me Raste me Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Mulaqat kis se hui or usne kya kaha?
Ans: Buhira rahib se Ap(S)ki Mulaqat hui Basra me. Usne kaha ke ye Sayyadul Aalameen hai(tamam jahano ke Sardar). Allah ne Inhe Rehmatul lil Aalameen banakar bheja hai.
39) Us Raahib ne Akhri Nabi ki kya kya Nishania batai?
Ans: Usne Abu Talib se kaha ke jab Tum log Ghaati se utar rahe the to
Koi Darakht ya pathar aisa nahi tha jo Sajde ke lye Jhuk nag aya ho,ye Sirf Nabyo ko Sajda karte hai, Or Ap(S)ke Kandho ke Neeche Jo Mohre Nabuwwat hai mai Usse Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ko pehchanta hu.
40) Junge Fujjar kab Hui?
Ans: Jab AP(Sallallahu Alaihi Wasallam)15 Saal ke the.
41) Junge Fujjar kin ke Darmyan Hui?
Ans: Quraish aur Qais Ailan ke Darmyan.
42) Is Jung ko Junge Fujjar kyu kehte hai?
Ans: Islye ke Is me Haram Shareef aur Haram Mahine Dono ki Hurmat Chaak ki gai.
43) Kya Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)Junge Fujjar me Shareek the?
Ans: Ji haan. Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)apne Chachaon ko Teer de rahe the.
44) Hilf-Ul-Fuzool kise kehte hai or ye kab or kyu hui?
Ans: Qurish ke Chand Qabail ne Apas ye Ahad kiya ke Makke me job hi Mazloom Nazar ayega ye sab uski Madad karenge.
ye Zu Qaida me hui.
Hua ye tha ke Zabeed ka ek Admi Saman lekar Makka aya tha Aas Bin Waa’il ne uska Saman khareeda lekin uska Haq Rok liya. Iski koi Madad ke lye nahi aye….
45) Hilf-Ul-Fuzool kis ke Makan par hui or Iske bare me Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne kya farmaya?
Ans: Hilful Fuzool Abdullah Bin Jud’aan ke Makan par hui.
Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne Nabuwwat milne ke baad farmaya
“Me Abdullah Bin Jud’aan ke Makan par e kaise Muahde me Shareek tha ke Mujhe uske Iwaz(badle me) Surkh Oont bhi pasand nahi or agar Islam me is Ahad ke lye mujhe bulaya jata to Me Labbaik kehte.”
46) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Omer Mubarak jab 35 years hui to kya Waqia pesh aya?
Ans: khane Kaba ki tameer shuru hui.
47) Jab Khane Ka’aba ki tameer ke Waqt Quraish ka kis baat pe Jhagda hua?
Ans: Hajre Aswad ko uski Jagah par rakhne ke lye Jhagda shuru hua.
48) Us Jhagde ko kisne aur kaise Hal kiya?
Ans: Abu Umayya Makhzoomi ne kaha ke Kal jo Shaqs bhi Haram me pehle Dakhil hoga use apne Jhagde ka Hakam bana lenge. Dusre Din sab se pehle Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)dakhil hue. Logo ne Apko dekhte hi kaha Ye Ameen hai hum inse Raazi hai, Ye Mohammad(S)hai.
Ap(S)ko waqia sunaya gaya to Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne ek Chadar Mangai, usme Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne Hajre Aswad ko rakha phir har Qabeele ke Sardar ko bulaya aur chadar ke kinare pakda kar upar uthae.phir Ap(S)ne apne hath Mubarak se Usko uski Jagah rakh diya.
NABUWWAT KE BAAD MAKKI ZINDAGI
49) WAHI(revelation) kaun lekar aate the ?
Ans: Jibraeel(AS).
50) Pehli kab aur kahan Nazil hui?
Ans: Ghaare Hira me.
51) Pehli Wahi me kya Nazil hua?
Ans: Sure Alaq ki 5 ayaten Nazil hui.
52) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne jab ye Khadija(razi Allahu Anhu) ko bataya to Apne kya kaha?
Ans: Ap(razi Allahu Anhu) ne farmaya
Allah ki Qasam, Ap(S)ko Allah Ruswa nahi karega,Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)Rishte Jodte hain,Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)Dusron ka bojh Uthate hain, AP(Sallallahu Alaihi Wasallam)Jo kama nahi sakta us ke lye kamate hain, Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)Mehman Nawazi karte hain,Haq ke lye kaam karne walon ki Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)madad karte hain.
53) Warqa Bin Naufal kaun hai?
Ans: Khadija(razi Allahu Anhu) ke Chichere bhai.
54) Warqa Bin Naufal ne Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)se kya kaha?
Ans: kaash mai us waqt zinda rehta jab tumhari Qaum tumhe nikalegi.
55) Sab se pehle kin kin Logo ne Islam Qubool kiya?
Ans: Mardon me Abu Bakr(razi Allahu Anhu),Aurton me Khadija(razi Allahu Anhu),Bachcho me Ali(razi Allahu Anhu) aur Ghulamo me Zaid Bin Harisa(razi Allahu Anhu).
56) Abu Bakr(razi Allahu Anhu) ki Dawat par kitne Logo ne Islam Qubool kiya?
Ans: Abu Bakr(razi Allahu Anhu) ki Dawat par 1.Osman(razi Allahu Anhu),2.Zubair(razi Allahu Anhu),3.Abdur Rahman Bin Aof(razi Allahu Anhu),4. Saad Bin Abi Waqqas(razi Allahu Anhu),5. Talha Bin Ubaidullah(razi Allahu Anhu) ne Islam Qabool kiya.
57) Shuru me Tableegh kis tarah hoti thi?
Ans: Khufya.
58) Khufya tableegh kitne Saal hui? Or us Dauran kitne log Musalman hue?
Ans: 3 Saal tak aur 30 Log Musalman hue.
59) Musalmano ka pehla Markaz kiska ghar hai?
Ans: Arqam Bin Arqam(razi Allahu Anhu) ka.
60) Islam ki Ailanya tableegh ke lye Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne kis Pahad pe Chadh kar Dawat di?
Ans: Safa pahad par.
61) Makka wale Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ko Nabuwwat se pehle kis naam se jante the?
Ans: Ameen aur Sadiq.
62) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne kinke Islam Qubool karne k lye Dua ki thi? Kya wo Dua Qubool hui?
Ans: Omer(razi Allahu Anhu) ya Abu Jahel ke islam Qabool karne ke lye. Ji haan wo Dua Omer(razi Allahu Anhu) ke Haq me Qabool hui.
63) Hamza(razi Allahu Anhu) kaun hai or kab Islam Qubool kiye?
Ans: Hamza(razi Allahu Anhu) Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Chacha hai aur 6 Nabawi me Islam Qabool kiye.
64) Umar(razi Allahu Anhu) ne Islam kab Qubool kiya?
6 Nabawi me.
65) Umar(razi Allahu Anhu) ke Islam Qubool karne ka Waqia batayye?
Ans: ……….
66) Ailanya khane kaba me kab se Namaz padhi gai?
Ans: Omer(razi Allahu Anhu) ke Islam Qabool karne ke baad se.
67) Sahabi kise kehte hai?
Ans: Jinho ne Ap (Sallallahu Alaihi Wasallam)ko Iman ki Halat me dekha ho aur Iman hi ki Halat me unka Inteqal hua ho.
68) Sahaba k sath Kuffar e Makka kya Mamla karte the?
Ans: Kuffar e Makka Sahaba ko Bohat takleefen diya karte the.
69) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ko Kuffare Makka kaisi Takleefen pohanchai,Unme se Chand batayye?
Ans: 1.Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki 2 SahebZadiyan Abu lahab ke Beton ke Nikah me thi unhe Talaq dedya gaya.
2. Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)Namaz padhte to Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Peeth par Oont Ki Ojhdi dali gai,
3.Abu Lahab ki Biwi Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Raaste me kaante daalti thi,
4. Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Ghar ki Haandi me Gandagi Daali jati……..
70) Osman(razi Allahu Anhu) ko kaun takleef deta tha aur kya?
71) Ans: Osman(razi Allahu Anhu) ka Chacha unhe Khajoor ki Chatai me lappet kar Neeche se Dhunwa deta tha.
72) Mus’ab Bin Umair(razi Allahu Anhu) ko kya Takleef di gai?
Ans: Mus’ab Bin Umair(razi Allahu Anhu) ko Apki Maa ne Khana pani Band kardya aur Ghar se nikal diya.
73) Bilal(razi Allahu Anhu) ko kis Qisam ki takleefen di gai?
Ans:Umayya Bin Khalf Ap(razi Allahu Anhu) ki Gardan me Rassi daal kar kheenchta,Makke ke pahadon me Ghumata,Dando se Maarta,sakht Garmi me Makke ki Reth par Lita kar bada pathar Rakhwa deta. Ap(razi Allahu Anhu) sirf AHAD AHAD kehte rehte.
74) Islam ki pehli Shaheed Khatoon kaun hai or kis ne Shaheed kiya?
Ans: Sumayya(razi Allahu Anhu) unhe Abu Jahel ne Shaheed kiya.
75) Ammar bin Yaser(razi Allahu Anhu) ko kya Takleef di gai?
Ans: In par aur inke Khandan par Qayamat toot padi, Sakht Dhoop ke Waqt inhe Pathreli zameen ki Tapish dete…….
76) Khabbab Bin Art(razi Allahu Anhu) ko kaunsi takleefen di gai?
Ans: Inke Baal Noche jate, aur Gardan Marodte, Inhi kai bar Dahekte hue Angaaro par Lita kar Upar se Pathar rakh diya jata……
77) Bilal(razi Allahu Anhu) ko takleefon se kis tarah Najat mili?
Ans: Abu Bakr(razi Allahu Anhu) ne Khareed kar Allah ke lye Azaad kardya.
78) Hijrat kise kehte hai?
Ans: Jab Zameen tang hojaye aur Allah ke Ehkaam par Amal na karsaken tab Darul Kufr ko Chod kar Dusre Mulk ko Jana Use Hijrat kehte hain. Hijrat karne wale ko Muhajir kehte hein.
2. Muhajir Usko kehte hain jo Chord de un tamam kamo ko jisse Allah aur Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne Mana farmaya hai.
79) Jumla kitni Hijraten hui?
Ans: 3 Hijraten hui. 2 Habsha ki taraf aur ek Madine Munawwara ki taraf jisme taqreeban Saare Musalmano ne Hijrat ki.
80) Pehli Hijrat kab or kahan hui?
Ans: pehli Hijrat 5 Nabawi me Habsha ki taraf hui.
81) Habsha ki taraf pehli Hijrat me kitne Musalman gaye?
ANS: 12 mard aur 4 Aurton ne Hijrat ki.
82) Pehli Hijrat k khafile k Ameer kaun the?
Ans: Osman(razi Allahu Anhu).
83) Allah k Raste me Ibrahim(AS),Loot(AS) k baad kaunse Jode(husband,wife) ne Hijrat ki?
Ans: Osman(razi Allahu Anhu) aur Ruqayya(razi Allahu Anhu) ne.
84) Habsha k Badshah ka kya Naam tha?
Ans: ASHAMA.
85) Wo kis Din ka Manne wala tha? Or Usne Musalmano k sath kaisa Sulook kiya?
Ans: wo Isai tha. Or usne Musalmano ke Sath Narmi ka mamla kiya.
86) Kuffare Makka ne Habsha se Musalmano ko Wapis lane ki kya tadbeer ki?
Ans: un logo ne Habsha ke Badshah aur uske wazeeron ko tohfe bheje.
87) Kya wo us tadbeer me kaamyab hue?
Ans: nahi.
88) Kuffare Makka ne kis ka Boycott kab or kyu kiya?
Ans: 7 Nabawi me,Musalmano aur Banu Hashim aur Banu Muttalib ka Boycott kiya.kyu ke Banu Hashim aur Banu Muttalib ne Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Hifazat ki Zimmedari leli thi.
89) Ye boycott kitne saal raha?
Ans: 3 Saal.
90) Musalman is dauran kahan the or kya khate the?
Ans: Shi’ab Abi Talib me aur wahan patte waghaira kha rahe the.
91) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke chacha Abu Talib ka Inteqal kab hua?
Ans: Nabuwwat ke 10th year Rajjab me.
92) Khadija(razi Allahu Anhu) ka Inteqal kab hua?
Ans: Ramazan 10 Nabawi me.
93) Aam ul Huzun kis saal ko kehte hain aur kyu?
Ans: Nabuwwat ke 10th year ko kehte hain kyu ke Isme Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Shafeeq Chacha Abu Talib aur Zauja Khadija(razi Allahu Anhu) ka Inteqal hua.
94) Doosri Hijrat kab aur kahan hui?
Ans: Doosri Hijrat 6 Nabawi me Habsha ko hui.
95) Usme kitne Musalman Shareek the?
Ans: 82 Mard aur 18 Aurten.
96) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)Taef ko kab or kyu tashreef le gaye?
Ans: Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)Dawate Islam dene Taef ko Shawwal 10 Nabawi me tashreef legaye.
97) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke sath Taef kaun tashreef le gaye?
Ans: Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Azaad karda Ghulam Zaid Bin Harisa(razi Allahu Anhu).
98) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne Taef me kin 3 Sardaro se mile?
Ans: Qabeele Banu Saqeef ke 3 Sardaron 1.Abd Yalail,2.Masood aur 3. Habeeb se mile.
99) Kya Wo log Islam Qubool kiye?
Ans: Nahi.
100) Un logo ne Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke sath kya Mamla kiya?
Ans: Shareer Ladko ko Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke peeche laga diya, jo Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ko Gaalyan dete aur patharen marte the yahan tak ke Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke pair Mubarak Lahu Lahan hogaye.
101) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ko Meraj kab hui?
Ans: 27 Rajjab 11 Nabawi me.
102) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki kis Asman pe kis Nabi se Mulaqat hui?
Ans:1st Asman pe Adam(AS),
2nd pe Yahya(AS) aur Eesa(AS)
3rd pe Yousuf(AS),
4th pe Idrees(AS),
5th pe Haroon(AS),
6th pe Moosa(AS),
7th pe Ibrahim(AS) se Mulaqat hui.
103) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne Meraj me kya dekha?
Ans: Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne Jannat , Dozaq ko Dekha.
104) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ko Meraj me Allah Ta’ala ne kya kya Tohfe Ada kye?
Ans: Namaz, Sure Baqara ki Akhri 2 Ayaten.
105) Meraj me kitni Namazen Farz hui?
Ans: pehle 50 thi phr Moosa(AS) ke kehne par Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne Takhfeef karai to akhir me 5 Namazen Farz hui.
106) Shaqqul Qamar ka Waqia kab pesh aya?
Ans: Hijrat se 5 saal pehle.
107) Bai’ate Uqba kise kehte hain?
Ans: Uqba ke Muqaam par Madine ke Logo ne Haj ke Mausam me Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)se Bait ki use Bai’te Uqba kehte hain.
108) Pehli Bai’te Uqba kab hui aur isme kitne log Musalman hue?
Ans: 12 Nabawi ko hui. Madine ke 7 Admiyo ne Islam Qabool kiya aur 12 ne Bai’t ki.
109) Islam ke pehle Safeer kaun hai or kab or kahan bheje gaye?
Ans: Mus’ab Bin Umair(razi Allahu Anhu) hai Jinhe 12 Nabawi me Madina bheja gaya take wahan ke logo ko Islam ki Taleem den.
110) Dusri Bai’te Uqba kab hui or usme kitne log Musalman hue?
Ans: 13 Nabawi me hui jisme 73 Mardon aur 2 aurton ne Islam Qabool kiya.
111) Dusri Bai’te Uqba ke Waqt Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne kitne logo ko Ameer Muntakhab farmaya?
Ans: 12 log ko Ameer banaya jinme 9 Qabeele Khazraj ke the aur 3 Aos ke.
112) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne Madina Munawwara kab Hijrat ki?
Ans: nabuwwat ke 13th year me.
113) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke sath Hijrat ke waqt kaun the?
Ans: Abu Bakr Siddiq(razi Allahu Anhu).
114) Hijrat ke waqt Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne apne Bistar par kise aur kyu Sulaya?
Ans: Ali(razi Allahu Anhu) ko take wo Makka walo ki Amanaten Lauta kar Hijrat Karen.
115) Madine tak pohanchane ke lye kis Admi ko Kiraye par rakha gaya tha?
Ans: Abdullah Bin Areeqat ko.
116) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)or Abu Bakr(razi Allahu Anhu) ne kis Ghaar (cave) me panah li or wahan kitne din rahe?
Ans: Ghaare Saur me 3 din.
117) Us Ghaar me kaun aate the aur kyu?
Ans: Abu Bakr(razi Allahu Anhu) ke Ghulam Amer Bin Faheera(razi Allahu Anhu) Bakryn Charate hue aate the, Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)or Abu Bakr(razi Allahu Anhu)ko Bakryo ka Doodh dene aur Qadmo ke Nishan mitane. Aur Abdullah Bin Abu Bakr(razi Allahu Anhu) bhi aate the.
118) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)aur Abu Bakr(razi Allahu Anhu) ki Hijrat ke Baad Makka walo ne un ko giraftar karke lane k lye kitna Inaam rakha?
Ans: Jo koi Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ya Abu Bakr(razi Allahu Anhu) ko Pakdega, use Hare k ke Badle 100 Oont ka Inaam diya jayega.
119) Kis ne Lalach me aakar giraftar karne ki koshish ki?
Ans: Suraqa Bin Malik ne.
No comments:
Post a Comment