MADANI ZINDAGI
1) Madine Munawwara ka pehle kya naam tha?
Ans: Madine Munawwara ka pehle naam YASRIB tha.
2) Madine me pehle Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)kis Jagah pohanche or Wahan kitne din Qiyam farmaye?
Ans: Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)pehle Quba pohanche, or wahan 12 din Qiyam farmaye.
3) Islam ki sabse pehli Masjid kaunsi hai?
Ans: Masjide Quba.
4) Masjide Quba kis Sahabi ki Zameen par banai gai?
Ans: Kulsoom Bin Hadm(razi Allahu Anhu) ki Zameen par.
5) Quba ke Muqam par Ap sallallahu alaihi wasallam kis din pohanche?
Ans: Monday.
6) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne Madine Munawwara me kis Sahabi ke Ghar me aur kitne Din Qayam farmaya?
Ans: Abu Ayyub Ansari(razi Allahu Anhu) ke ghar par 7 mahine Qayam farmaya.
7) Musalmano ka Qible Awwal kya hai?
Ans: Baitul Muqaddas jo Falasteen me hai.
8) Khane ka’aba kab Qibla bana?
Ans: Hijrat k 16 ya 17 Mahine baad.
9) Masjid-e-Nabawi ki Tameer kab aur kahan hui?
Ans: Hijrat ke pehle Saal hi Masjid Nabawi ki Tameer shuru hui, 2 Yateem Bacho ki Zameen par,or ye Wahi Jagah hai jahan Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Oontni baithi thi.
10) Hijrat ke Baad Sab se pehle kaun aur kab paida hue?
Ans: Abdullah Bin Zubair(razi Allahu Anhu), Hijrat ke pehle saal.
11) Azaan kab Shuru hui or Muazzan kaun the?
Ans: Azaan 1 Hijri me Shuru hui or Muazzan Bilal(razi Allahu Anhu) the.
12) Ramazan ke Roze kab Farz hue?
Ans: 2 Hijri me.
13) Ghazwa kise kehte hain?
Ans: us Jung ko kehte hai jisme Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)Musalmano ke Sath tashreef legaye ho use Ghazwa kehte hai.
14) Sariyya kise kehte hain?
Ans: Us Jung ko kehte hai Jisme Musalmano ke sath Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)tashreef nahi legaye.
15) Jumla kitne Ghazwaat or Sariyya hue?
Ans: Jumla 27 Ghazwaat aur 55 Sariyya hue.
16) Baaz Ahem Ghazwaat ke Naam batayye?
Ans: 1.Ghazwae Badr 2 Hijri me,
2.Ghazwae Uhud 3 Hijri me,
3.Ghazwae Ahzaab 5 Hijri me,
4.Ghazwae Banu Quraiza 5 hijri me,
5.Ghazwae Khaibar 7 Hijri me,
6. Fateh Makka 8 Hijri me,
7. Ghazwae Hunain 8 Hijri me,
8. Ghazwae Ta’eef 8 Hijri me.
17) Ghazwe Badr kab hui?
Ans: 2 Hijri me.
18) Badr me Iblees kiski shakal me aya tha?
Ans:Suraqa Bin Maalik ki Shakal me.
19) Ghazwe Badr me Musalmano ki Tadad kitni thi or Kuffar ki kitni?
Ans: Ghazwae Badr me Musalmano ki Tadad 313 aur Kuffar ki 1000 thi.
20) Badr me kitne Sahaba Shaheed hue?
Ans: Badr me 14 Sahaba Shaheed hue.
21) Badr me kitne Kuffar Maare gaye or kitne Qaid kiye gaye?
Ans: 70 kuffar Maare gaye aur 70 Qaid kiye gaye.
22) Eid-Ul-Fitr, Eid-Ul Azha ki Namaz ka kab hukum hua?
Ans: 2 Hijri me.
23) Haj kab farz hua?
Ans: 9 Hijri me Haj Farz hua.
24) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Sahebzadyo(daughters) ka Nikah kis se hua?
Ans: Zainab(razi Allahu Anhu) ka Abul Aas(razi Allahu Anhu) se,
Ruqayya(razi Allahu Anhu) aur Umme Kulsoom(razi Allahu Anhu) ka Osman Bin Affan(razi Allahu Anhu)se aur
Fatima(razi Allahu Anhu) ka Ali(razi Allahu Anhu)se.
25) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Dandaane Mubarak(teeth) kab Shaheed hue?
Ans: Ghazwae Uhud me.
26) Munafiq kise kehte hain?
Ans: Jo Zaahir me Kalima padhta ho aur Asal me wo Musalman na ho.
27) Munafiqo ke Sardar ka naam batayye?
Ans: Abdullah Bin Ubai
28) Asad Ullah(Allah ka sher) kiska laqab hai?
Ans: Hamza(razi Allahu Anhu) ka.
29) Ghazwe Uhud kab hui?
Ans: 3 Hijri me.
30) Uhud me Musalman kitne aur Kuffar kitne the?
Ans: Ghazwae Uhud me 700 Musalman aur 3000 Kuffar the.
31) Hamza (razi Allahu Anhu) ko kisne or kiske kehne pe Shaheed kiya?
Ans: Hamza(razi Allahu Anhu) ko WAHSHI ne Jubair Bin Mut’am ke kehne par Qatl kiya.
32) Hamza(razi Allahu Anhu) ki Naash ke sath kya Sulook kiya gaya?
Ans: Hind Binte Utba ne Hamza(razi Allahu Anhu) ka Kaleja Nikal kar Chabaya aur Ap(razi Allahu Anhu) ke Kaano aur Nakon ka pazeb aur Haar banaya.
33) Uhud me kitne Musalman Shaheed hue?
Ans:70.
34) Ghaseele Maklaika kin ko kaha jata hai?
35) Ans: Ghaseele Malaika H.Hanzala(razi Allahu Anhu) ko kaha jata hai.
36) Uhud me ke Baaz Ahem Waqiaat batayye?
Ans:
37) Uhud me kin se aur kya ghalti hui thi?
Ans:
38) Abu Bakr(razi Allahu Anhu) uhud ka Zikr kiye to kya kehte the?
Ans: Abu Bakr(razi Allahu Anhu) farmate ke ye to Talha(razi Allahu Anhu) ki Jung thi.
39) Allah ke Raste me sabse pehle kisne Teer chalai?
Ans: Saad Bin Abi Waqqas(razi Allahu Anhu) ne.
40) RAJII’ me kya Hadsa pesh aya?
Ans: Safar 4 hijri me kuch log aye or Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)se kaha k unke paas Islam ka charcha hai, islye Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)unke paas kuch logo ko Deen Sikhane aur Quran padhane ke lye Rawana farmayye,Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne 10 Sahaba ko Rawana farmaya, sab RAJII nami ek Chashme par pohanche to 100 teer Andazo ne In par Hamla karke Inhe Shaheed kardya.
41) Bee’re Ma’ona ka Waqia batayye?
Ans: Ma’ona ke Kunwe ke paas 70 Sahaba ko Dhoke se Shaheed kardya gaya.
42) Ghazwae Ehzaab kab hui?
Ans: 5 Hijri.
43) Ghazwe Ehzaab ka Zikr kis sure me hai?
Ans: Sure Ahzaab me.
44) Isme Musalman kitne the?
Ans: Musalman 3000 aur Kuffar 10000.
45) Ghazwae Ehzaab ke waqt Musalman Aurte kahan thi?
Ans: Madine me Ek Qile me.
46) Ghazwae Ehzaab ke waqt kin logo ne Musalmano se Dhoka kiya?
Ans: yahoodiyo ne Qabeele Banu Quraiza ne.
47) Ghazawae Ehzaab ki tayyari Musalmano ne kis tarah ki?
Ans: Khandaq khodi.
48) Ghazwae Banu Quraiza kab aur kyu hui?
Ans: 5 Hijri me, Ghazwae Ahzaab me Banu Quraiza ne Dhoka diya bol ke.
49) Kis Sahabi ke Bare me Allah ke Rasool(S)ne farmaya ke Inke Inteqal se Allah ka Arsh Hil gaya?
Ans: Saad Bin Muaaz(razi Allahu Anhu) ke bare me.
50) Ghazwae Banu Quraiza me Hakam kise Banaya gaya?
Ans: Saad Bin Muaaz(razi Allahu Anhu) ko.
51) Unho ne kya faisla kiya aur Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne unke faisle ke Bare me kya farmaya?
Ans: Unho ne Faisla kiya ke Bado ko Qatl kardya jaye, Bacho aur aurton ko Ghulam banalya jaye.
52) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)Umre ke lye kab tashreef le gaye?
Ans: 6 Hijri me.
53) Raste me kya hua?
Ans: Raste me Makka walo ne Apko Umra karne nahi dya.
54) Suleh Hudaibya kab hui?
Ans: 6 Hijri me.
55) Bai’ate Rizwan kab aur kyu hui?
Ans: 6 Hijri me Hui, Osman(razi Allahu Anhu) Safeer banker Makka gaye the to Ap(razi Allahu Anhu) k SHaHeed hone ki Afwaah hui to Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne Sahaba se Osman(razi Allahu Anhu) ki Shahadat ka Badla lene ki Bait Farmai.
56) Suleh Hudaibya me kya tai hua?
Ans:
57) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne Ajam ke Badshaho ko kab Khat(letter) likhe?
Ans: Suleh Hudaibya ke baad.
58) Kya Un Badshaho me se kisi ne Islam Qubool kiya?
Ans:
59) Kis Badshah ke pas kaun khat le kar gaye?
Ans:1. Najashi Shah-e-Habash ke paas AMR BIN UMAYYA(razi Allahu Anhu) khat legaye.
2. Muqauqis Shah-e-Misr ke paas HAAtib(razi Allahu Anhu) khat legaye.
3.Khusro Parvez <KISRA>Shah-e-Faras ke paas ABDULLAH BIN HUZAFA(razi Allahu Anhu) khat legaye..
4.Qaisar Shah-e-Rome ke paas DAHIYA KALBI(razi Allahu Anhu) Khat legaye…….
60) Rome ke badshah Hiraqal ne Khat padhne ke baad kya kiya?
Ans:
61) Hiraqal aur Sufyan(razi Allahu Anhu) (jo us waqt Musalman nahi hue the) ke Darmyan jo Sawal Jawab hue unka khulasa likhye?
Ans:
62) Hiraqal ne Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke bare me jaanne ke baad kya kaha?
Ans: Usne kaha ke Agar mai unse Milunga to unke pair dhokar piyunga, or kaha ke Me Jis Zameen par hu us par bhi unka Qabza hojaega.
63) Ghazwae Khaibar kab hua?
Ans: 7 hijri me hua.
64) Ghazwae Khaibar me Dono Janib kitne Log Qatl hue?
Ans: 16 Sahaba Shaheed hue aur 93 Yahoodi Maare gaye.
65) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne ye kis ke Bare me farmaya “ WALLAH MAI NAHI JANTA MUJHE KIS BAAT KI ZIADA KHUSHI HAI? KHAIBAR KI FATEH KI YA APKE AANE KI?”
Ans: Ap(S)ke Chachare Bhai Jafar Bin Abdul Muttalib(razi Allahu Anhu) se farmaya.
66) Abu huraira(razi Allahu Anhu) ne Islam kab Qubool kiya?
Ans: Ghazwae Khaibar ke waqt.
67) Ghazwae Mauta kab hui ?
Ans: 8 Hijri me.
68) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne Ma’rkae Mauta k Ameer kinhe banaya?
Ans: Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne Ameer Zaid Bin Harisa(razi Allahu Anhu) ko Banaya aur farmaya agar ye Shaheed hojayen to Jafar(razi Allahu Anhu) aur agar wo bhi Shaheed hojaye to Abdullah Bin Rawaha(razi Allahu Anhu) Ameer honge.
69) Is Ghazwe me Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne kya peshangoi ki thi?
Ans: Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Peshangoi ye thi:
Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne Ameer Zaid Bin Harisa(razi Allahu Anhu) ko Banaya aur farmaya agar ye Shaheed hojayen to Jafar(razi Allahu Anhu) aur agar wo bhi Shaheed hojaye to Abdullah Bin Rawaha(razi Allahu Anhu) Ameer honge. Aur ye teeno sahaba Shaheed hogaye.
70) SAIF ULLAH(Allah ki Talwar) kis ka laqab tha?
Ans: Khalid Bin Waleed(razi Allahu Anhu) ko Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)me SAIF ULLAH ka Laqab dya.
71) Allah ke Rasool(S)ne Qaza Umra kab farmaya?
Ans:7 Hijri me.
72) Suleh Hudaibiya me jo Muahda hua tha uski Khilaf warzi kisne ki?
Ans: Mushrikeene Makka ne.
73) Makka kab Fatah hua?
Ans: 8 Hijri me.
74) Abu Jahel ko kisne or kab Qatl kiya?
Ans: Ghazwae Badr me Do Naujawaan Sahabi MAAz(razi Allahu Anhu) aur MU’awwiz(razi Allahu Anhu) ne Abu Jahel ko Qatl kiya.
75) Kis Saal ko Wufood ka saal kehte hain aur kyu?
Ans: 9 Hijri ko Wufood ka Saal kaha jata hai kyu ke Isme Door door se Log Madina aakar Islam Qabool karrahe the.
76) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki kisne aur kitne Saal Qidmat ki?
Ans: Anas Bin Maalik(razi Allahu Anhu) ne 10 Saal Qidmat ki.
77) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki pasandeede Ghizaen kya thi?
Ans: Kaddu,Sirka,Shahed,Meetha, Bakri ka Hath,Kakdi………
78) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Roti kaisi hoti thi?
Ans: Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Roti Moti baghir chane hue Jau ki Hua karti thi.
79) Kya Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)pet Bhar ke khate the?
Ans: Ayesha(razi Allahu Anhu) farmati Hai ke Kabhi 2 Din Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne Jau ki Roti pet bhar kar nahi khai.
80) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Ghar walo k pas kitni Baar Chulha Sulagta tha?
Ans:
81) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne kis ki Ghaibana Janaze ki Namaz padhi?
Ans: Habash ke Badshah ASHAMA ki.
82) Allah ke Rasool(S)ne Fateh Makka ke Waqt kis Rang ka Amama bandha tha?
Ans: Black.
83) Fateh Makka ke waqt kitne Musalman the?
Ans:10000 Sahaba the.
84) Ghazwae Tabook kab aur kis ke Khilaf hua?
Ans:8 Hijri me Rome ke Khilaaf.
85) Kis Masjid ko Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne todne lagaya aur kyu?
Ans: Masjide Ziraar ko, Wo Yahoodyo ne banai thi.
86) Pehla Haj Kis ki Qiyadat me kiya gaya?
Ans: Abu Bakr(razi Allahu Anhu) ki.
87) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne kab Haj kiya?
Ans: 10 Hijri me.
88) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne Jumla kitne Haj kiye?
Ans: sirf 1.
89) Hajjatul Wada kise kehte hai?
Ans: Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne jo Haj kiya use Hajjatul Wada kehte hai kyu ke ye Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ka pehla aur Akhri Haj tha.
90) Hajjatul Wada kab hua?
Ans: 10 Hijri me.
91) Arfaat ke Maidan me Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne jo Khutba diya wo likhye?
Ans:
92) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Hayaate Mubarak me Kin kin Azwaaj-e-Mutahharat ka Inteqal hua?
Ans: Khadija (razi Allahu Anhu) aur Zainab(razi Allahu Anhu) ka.
93) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)Angothi kab aur kyu Banai?
Ans: Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne Angothi Badshaho ko Khat likhte waqt banai MOHAR(STAMP) ke lye.
94) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Nawason aur Nawasiyon ke Naam batayye?
Ans:1.Hasan(razi Allahu Anhu),2.Hussain(razi Allahu Anhu),3.Zainab(razi Allahu Anhu),4.Umme Kulsoom(razi Allahu Anhu)5. Umama Binte Zainab(razi Allahu Anhu).
95) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Damaadon ke Naam batayye?
Ans: Abul Aas(razi Allahu Anhu), Osman(razi Allahu Anhu) aur Ali(razi Allahu Anhu).
96) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)kab Bimar hue?
Ans: 9 Safar 11 Hijri ko.
97) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)Ki Bimari me Masjide Nabawi me kaun Imamat kar rahe the?
Ans: Abu Bakr(razi Allahu Anhu).
98) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne jo apne Akhri waqt me Wasiyyaten ki batayye?
Ans: Namaz, Yahoodyo Or NASARA[CHRISTIANS] ki Mukhalifat ,Ghulam Aur Aurto ke Sath acha Salook karna etc.
99) Abu Bakr(razi Allahu Anhu) ne Jumla Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Hayaat me kitni Namazen padhai?
Ans: 27.
100) Ashre Mubashshara kaun hai unke Naam batayye?
Ans: Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne Zindagi hi me 10 Sahaba ko Jannat ki Khush Khabri suna di thi unhe Ashra Mubashshara kehte hai.
1.Abu Bakr(razi Allahu Anhu),2.Omer,(razi Allahu Anhu)3.Osman(razi Allahu Anhu),4.Ali(razi Allahu Anhu),5.Abdur Rahman Bin Aof(razi Allahu Anhu),6.Talha Bin Ubaidullah(razi Allahu Anhu),7.Saad Bin Abi Waqqas(razi Allahu Anhu),8. Zubair Bin Awwam (razi Allahu Anhu),9 Zaid Bin Amr.10. Abu Ubaida Bin Jarrah(razi Allahu Anhu)
101) Aswad Ansi, Musailma Kazzab kaun the aur inka kya haal kiya gaya?
Ans: In Don one Nabi hone ka Dawa kiya tha Dono ko Qatl kardya gaya.
102) ANSAAR kise kehte hain?
Ans: Madine Munawwar ke Sahaba ko Ansaar kehte hai.
103) MUHAJIR kise kehte hain?
Ans: Makka se Madina Hijrat kar ke jane wale Sahaba ko Muhajir kehte hai.
104) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)is Dunya se kab parda farmaye?
Ans: 12 Rabi ul Awwal 11 Hijri peer ke din.
105) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki tadfeen kahan or kis Din hui?
Ans: jahan Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Rooh Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Jism Mubarak se Nikali gai yani Ayesha(razi Allahu Anhu) ke Hujre me Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Tadfeen hui.
106) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Namaze Janaza kis ne padhai?
Ans: kisi ne nahi padhai balke dus dus sahaba ka Group jata aur Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ka deedar karte aur Akele akele Namaz padhte.
107) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ko Ghusl kisne diya?
Ans: Abbas(razi Allahu Anhu),Ali(razi Allahu Anhu),Qasum(razi Allahu Anhu),Fazl(razi Allahu Anhu),Shaqran(razi Allahu Anhu),Usama(razi Allahu Anhu), Aos(razi Allahu Anhu).
108) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Wafaat ke Mutalliq Omer(razi Allahu Anhu) kya keh rahe the?
Ans:
109) Abu Bakr(razi Allahu Anhu) ne Aakar kya Khutba diya?
Ans:
110) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)kis tarah Chalte the?
Ans: Qadam Utha kae Narmi ke Sath Tez chalet the jaise ke Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)kisi Waadi me utar rahe ho.
111) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)kaise lagte the Tafseel se batayye?
Ans:
112) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)me Ghar me kya karte the?
Ans:
113) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)Neend se Bedaar hote hi kya karte the?
Ans: MISWAK.
114) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ka Bistar kaisa tha?
Ans:
115) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)K Omer Mubarak kitni thi Wafaat ke waqt?
Ans: 63 saal.
116) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Baad kinhe Khalifa banaya gaya?
Ans: Abu Bakr(razi Allahu Anhu) ko.
117) Khulfae Rashideen Kitne hain aur unke Naam batayye?
Ans: 4 hai
1.Abu Bakr(razi Allahu Anhu),2. Omer(razi Allahu Anhu),3. Osman(razi Allahu Anhu),4. Ali(razi Allahu Anhu).
118) Kya koi Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ko Khwaab me dekh sakhta hai?
Ans: Ji Haan, kyu ke Shaitan Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ki Shakal Ikhtyar nahi karsakta.
119) Kya Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne Mizaah bhi kiya?
Ans: Ji Haan, Magar Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)Mazaaq me Bhi Jhoot nahi kehte the.
120) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)kis tarah Hanste the?
Ans: Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)aksar Tabassum farmate the.
121) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)kis tarah kalaam farmate?
122) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)k khane aur peene ka tariqa batayye?
123) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)Surma kis tarah aur kab lagate the?
Ans: AP(Sallallahu Alaihi Wasallam)har Raat 3 baar right eye me aur 3 baar left eye me Surma lagate the.
124) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Akhlaaq ke Bare me Amma jaan Ayesha(razi Allahu Anhu)ne kya farmaya?
Ans: Amma Jaan Ayesha(razi Allahu Anhu) ne Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Akhlaaq ke Bare me farmaya ke Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Akhlaaq to Quran hi hai.
Means: Quran theory hai Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)practical.
125) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ka Izaar kitna tha?
Note: Izaar =paijama,pant,lungi etc.
Ans: aadhi Pindli tak.
126) Hamare lye Behtreen Ideal kaun hai?
Ans: hamare pyare Nabi(SAW).
127) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)ne Mardo aur Aurto ki khushbu ke bare me kya farmaya?
Ans: Mard ki Khushbu/Atar wo hai jis ki BOO aaye or Rang na dikhai de.
Aur Aurat ki khushbu wo hai jis ka Rang Dikhe aur BOO na aye.
128) Allah ke Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam)kin kin Cheezo ka Hadya Wapas nahi farmate the?
Ans: Takya,Atar,Tel aur Doodh.
129) Ambiya apne Wirse me kya Chod jate hain?
Ans: Ilm e Deen..
130) Akhri Nabi kaun hai?
Ans: Akhri Nabi Hazrat Muhammad(SAW) hai.
131) Kya Hamare Nabi(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke Baad bhi koi Nabi ya Rasool paida hosakte hai?
Ans: Nahi Hamare Nabi Akhri Nabi hai Ap(Sallallahu Alaihi Wasallam)ke baad Koi Nabi Ya Rasool Nahi Aasakte.
No comments:
Post a Comment