Nanotvi ka lashkar sidq o wafa ka paikarulma e deoband ulma e deoband
Haq goi ke jurm main yorish ho ya aman main sehty rahe sitam
ulama e deoband
Zalim ka zulm roka kufar ko nachaya angreez bhairye se khita he ye churaya wo shamli ka maidan Zamin ke khoon main palta ,kya moot ko pasand
ulama e deoband
Khoon se qaseeday likh gaye Ashab e Mustafa ke, Siddique, Umer, Ghani ke, Haidar shair e khuda ke Jhangvi Farooqi Izhar Shoib o Habib o Mukhtar chalni kre badan
ulama e deoband
Is maadi door main wo aslaaf ka nishan tha, himat main hosly main rif’at ka aasman tha ashab ka tha khadim wo pyara Tariq Azim furqat ka de ge gham
ulama e deoband
Darkhawsti Bukhari aur Hazrat e Lahori az ahsan Akhtar aur Hazrat e Banori , mirzai ke lye thy harjai ke lye thy wo moot ka zakham
ulama e deoband
Meywaat ka ilaqa ,tareekyun ka daira, Ilyas ne lehraya tableeg ka ye phaira, un ke tarap ko daikho fikar o qarab ko daikho sary jahan ka gham
ulama e deoband
Pani pat ke wo jazeeray , aur malta ki raatein, shairun ke hosly thy sabr o wafa ke batein Mehmood, Madni payary, pisty rahe bichary, laykin hue na kham
ulama e deoband
Mufti Mehmood jaisi siadat kahan se layen, qiadat kahan se layen siasat kahan se layen mirzai ko ghaseeta, assembly main la ke peeta, tareekh ke raqam
ulma e deoband
Nanotvi ka lashkar sidq o wafa ka paikar ulma e deoband ulma e deoband
No comments:
Post a Comment