KUM ILM AADMI KAY LIYE DEEN PER AMAL KARNAY KI SURAT
• MISAAL = Ager 1 shukhsh kunwaan banwaa kar waqf e aam karday aur phir hazaroon loog is may say pani pi rahay hain ¤
• Wazu'o aur ghusal karkay namazain adaa karrahay hain ¤
• Khana pakana horaha hay ¤
• Ab koi shukhsh ye shoor machaday k is kunwain ka ta'arufi name chaudhry nawab deen kunwaan hay is liye is may jo pani hay wo ALLAH ka paida kiya huwa nahi hay wo chaudhry nawab deen ka paida kiya huwa hay ¤
• Chaudhry nawab deen [NAUZUBILLAH] ALLAH ka shareek ban betha hay ¤
• Jo loog is kunwain say pani peetay hain wo mushrik hain ¤
• Na in ka wazu'o sahi hay na ghusal ¤
• Na namaz durust hay ¤
• Na in ka rozah ¤
• To kiya koi aqalmand aadmi is ki khurafaat per kaan dhharay gaa ?
• Yahi haal yaha hay k aayimmah mujtahideen nay kitab o sunnat kay masayeel ko zaahir kardiya aur kunwain ki shikal day di ¤
• Muqallideen in masayeel kay muwaafiq Namaz , Roza , Hajj , Zaka'at wagerah aamaal may masroof hogaye ¤
• Hamaray germuqallid dost kabhi to kehtay hain k saari umer 1 hi kunwain kay pani say wazu'o karna ye to taqleed e shukhsh hay ¤
• Ye shirk hay ¤
• Her namazi ka farz hay k FAJR ki namaz ka wazu'o apnay ghar kay nalkay say karay ¤
• ZOHAR ka wazu'o dusray zila'a kay nalkay say karay ¤
• ASAR ka wazu'o dusray soba'h kay nalkay say ¤
• MAGHRIB ka dusray mulk kay nalkay say aur EISHA'A ka wazu'o dusray jahaan kay nalkay say warna 1 hi nalkay say sub namazoon kay liye wazu'o karna goya taqleed e shukhshi hay aur shirk hay ¤
• Ahle Sunnat Wal Jama'at kehtay hain k jub hum kunwain kay mohtaaj hain to jis kunwain ka pani aasani say dastiyaab hojaye saari umer wazu'o o ghusal karna bilkul durust hay ¤
• Is ko shirk keh kar tamaam musalmanoon ko mushrik banana DEEN ki koi khidmat nahi ¤
TANBEEH = Isi taqleed ko daraasal itteba'a kaha jata hay aur amal ka taqaazah hay k aesa amal her jaahil aur kam ilm aadmi kay liye nihaayat zaroori hay ¤
No comments:
Post a Comment