HAMARA KHULA DUSHMAN
Aj ummat Maslaki Ikhtelaaf me ghiri hui hai aur Ek Doosre ko Apna Dushman samajh baithi hai aur hamare dimagh me bhi ayhi baat daali jaa rahi hai. Aj Musalman ek Doosre ko Khud ka Dushman samajh baithe hain aur apni Saari Salahiyaten isi me sarf kar rahe hain aur Haqeeqi Dushman ko Bhool gaye. Yahan Sirf Mai Quran e Kareem ki Chand aayaton se Batlana chah raha hu ke Hamara Haqeeqi Dushman kaun hai. Allah kare baat hamare samajh aajaye. (Aameen)
Allah Ta’ala ka Irshaad hai
Quran:
- Aye logo! Zameen me jo Halaal paakeezah cheezen hai wo Khaao aur SHAITAAN ke Naqsh e Qadam par na Chalo. Yaqeen Jaano ke wo Tumhare liye ek Khula Dushmna hai.
(Surah Baqara 168)
- Aye Imaan Walo ! Islaam me poore ke poore Daakhil ho jaao, aur SHAITAAN ke Naqsh e Qadam par na chalo. Yaqeen jaano wo tumhara Khula Dushman hai.
(Surah Baqara 208)
- Aur Chaupaayo me se Allah ne wo Jaanwar bhi paida kiye hain jo Bojh uthate hain aur wo bhi jo Zameen se lage hue hote hain. Allah ne jo Rizq tumhe diya hai usme se Khaao aur SHAITAN ke Naqshe Qadam par na chalo . yaqeen jaano wo Tumhare liye ek Khula Dushman hai.
(Surah An’aam 142)
- (Adam alaihis salaam aur Hawwa alaihas salam ka jannat ke mamnoo’aa darakht se istefada karne ka zikr karne ke baad farmaya) … aur Unke parwardigaar ne unhe aawaaz di ke: “Kya Maine Tum dono ko us Darakht se roka nahi tha, aur tum se ye nahi kaha tha ke SHAITAAN tum dono ka KHULAA DUSHMAN hai.”
(Surah A’raaf 22)
- (Hazrat yaqoob Alaihis Salaam ne Hazrat Yousuf alaihis salam ko naseehat farmayi) Unho ne kaha: “Beta! Apna ye Khwab apne Bahiyon ko na batana kahin aisa na ho ke wo tumhare liye koi Sazish tayyar karen, kyu ke SHAITAAN Insaan ka KhulaDushman hai.”
(Surah yousuf 5)
- Aur wo Waqt Yaad karo, jab Humne Farishto se kaha tha ke :
“ Aadam ke aage SAJDA karo”. Chunanche Sab ne Sajda kiya siwaye IBLEES ke . wo Jinnaat me se tha, Chunanche usne apne RABB ke Hukum ki nafarmani ki. Kya phir bhi tum Mere bajaye usey aur Uski Zurriyat ko apna Rakhwala banate ho haalan ke Wo Sab Tumhare DUSHMAN hain? (Allah Ta’ala ka) kitna bura mutbaadil hai jo Zaalimon ko mila hai!.
(Surah Kahf 50)
- Yaad karo wo Waqt jab Humne Farishton se kaha tha ke Aadam ko Sajdah karo, chunanche Sab ne Sajdah kiya albatta IBLEES tha jisne Inkaar kiya. Chunanche Humne kaha ke : “Aye Adam ! ye tumhara aur tumhari BIWI ka DUSHMAN hai lihaza aisa na ho ke ye tum dono ko Jannat se nikalwa de aur tum mashaqqat me pad jaao.”
(surah Taaha 117)
- Aur (ek din) wo Shahar me aise waqt daakhil hue jab uske Baashindey Ghaflat me the to unho ne dekha ke wahan 2 Aadmi lad rahe hain , ek to unki apni Bradari ka tha aur Doosra unki Qaum ka. Ab jo Shakhs un ki Bradari ka tha usne Unhe unki DushmanQaum ke aadmi ke muqabale me madad ke liye pukara, us par MOosa(alaihis salam) ne usko ek Mukka maara jis ne uska kaam tamam kar diya. (phir) unho ne (pachta kar) kaha ke: “Ye to Koi SHAITAAN ki Kaarwai hai. Haqeeqat ye hai ke woh ek khulaDushman hai jo Ghalat Raaste par daal deta hai.”
(Surah Qasas 15)
- Yaqeen jaano ke SHAITAANtumhara DUSHMAN hai, is liye Usko Dushman hi Samajhte raho. Wo to apne maanne walon ko jo Dawat deta hai wo isliye deta hai take Who Dozaq ke baasi ban jayen.
(Surah Faatir 6)
- Aye Adam ke Beto ! Kya Maine tumhe ye Takeed nahi kardi thi ke Tum SHAITAN ki Ibadat na karna wo tumhara Khulaa DUSHMAN hai.
(Surah yasseen 60)
- Aur aisa hargiz na hone paaye ke SHAITAAN tumhe is Raaste se rok de. Yaqeen jaano wo Tumhara KHULAA Dushman hai
( Surah Zukhruf 62)
Allah Ta’ala ne SHAITAAN ko Hamara Khulaa hua Dushman Apne Kalaam paak me bataya hai kayee baar bayan kiya aur uske Naqsh e Qadam ki pairwi karne se mana kiya. Lekin aj Hum apne Haqeeqi Dushman se Ghaafil hain aur Us ki jaane anjaane pairwi kar rahe hain. Hame chahye ke hum apne Haqeeqi Dushman ko pehchaane aur use bachen. Uske Naqshe Qadam par naa chalen.
Allah Ta’ala Hum sab ko SHAITAN ke makr o Fareb se bachaye.
Aameen.
No comments:
Post a Comment