Front - The Prophet Muhammed

Wednesday, September 18, 2013

GERMUQALLIDEEN SAY MASAYEEL E QURBANI KAY BARAY MAY 41 SAWALAAT

• AHLEHADEES hazraat ka dawa'a hay k hum KHUDA aur RASOOL kay siwa kisi ki baat ko deen may hujjat nahi samajhtay . Is liye guzaarish hay k wo QURBANI kay baray may mandarjah zael sawalaat ka jawab sirf Quran Paak ki Sareeh Aayat ya Saheeh Sareeh Germua'ariz Hadees say dain , kisi Ummati ka QOUL naqal karkay Mushrik na banain - apnay Qiyaasiyaat likh kar SHETAAN na banain , bay Sanad batain likh kar bay Deen na banain aur jawab say sakoot karkay Goongay SHETAAN na banain ¤
• SAWAL NUMBER 01 = Qurbani Farz hay ya Wajib ya Sunnat ya Nafil ? Sareeh hukum Quran o Hadees say tehreer karain ¤
• SAWAL NUMBER 02 = Ager na Farz hay na Wajib na Sunnat na Nafil to ye Tehreer farmayain k jin Aayimmah Fuqaha'a ya Aayimmah Muhaddiseen nay isay Wajib ya Sunnat wagerah kaha hay wo Quran o Hadees kay mutaabiq Kafir hain ya Faasiq ya Bidda'ati ?
• SAWAL NUMBER 03 = Qurbani karnay walay Shukhsh may kin sharaayit ka paya jana zaroori hay - Sareeh Aayat ya Hadees pesh farmayain ¤
• SAWAL NUMBER 04 = Qurbani kay zaroori honay kay liye kitna Nisaab hona zaroori hay ? Nisaab naami hona bhi shart hay ya nahi ?
• SAWAL NUMBER 05 = Zameen , Makaan , Dukaan , Bus , Tarak wagerah ki Qeemat say Nisaab ka hisaab hoga ya Aamdan say ?
• SAWAL NUMBER 06 = Zaroorat kay kon kon say Samaan hain jin ka hisaab Nisaab may shaamil nahi kiya jaye gaa ?
• SAWAL NUMBER 07 = Jo musalmaan wusa'at kay bawajood Qurbani na karay us ko kitna Gunaah hay us Gunaah ki HAD kitnay Kordhay hay ?
• SAWAL NUMBER 08 = Jo Bakri , Gaaye wagerah 4 , 6 , 8 Daant wali ho un ki Qurbani kis Hadees kay mutaabiq jayiz hay ?
• SAWAL NUMBER 09 = "JUZ AA'H" ka kiya mainay hay ? Jo 2 Daant wala na ho khuwaah 1 Din ya 1 Hafta'h ka ya 1 Maah ka ho us ki Qurbani jayiz hay ya nahi ?
• SAWAL NUMBER 10 = Musna'h ka Maadah kiya hay ye LAFZ Wahid hay ya Tasniya'h ya Jama'a ?
• SAWAL NUMBER 11 = Sani ka Maadah kiya hay Fuqaha'a aur Sharaheen e Hadees nay Qurbani ki Hadees may kiya Mainay kiya hay us Mainay par ittefaaq hay ya ikhtelaaf aur kiyoon ?
• SAWAL NUMBER 12 = Bhens ka Gosht , Doodh , Ghee , Makhkhan , Dahi , Lassi , AAP SALLALLAHU ALAHI WASALLAM nay istemaal farmaayi ya hukum diya ¤
• SAWAL NUMBER 13 = AANHAZRAT SALLALLAHU ALAHI WASALLAM nay kabhi Bhens , Hiran , Ghordhay ki Qurbani ki thi ya nahi ?
• SAWAL NUMBER 14 = Bhens , Gaaye may Qurbani kay kitnay Hissay hosaktay hain ? In may koi Mirzaayi hissa'h dalay to Ahlehadees ki Qurbani par koi asar pardhay gaa ya nahi ?
• SAWAL NUMBER 15 = 1 Gaaye ya Bhens may 7 Shukhsh Shareek huwe , 1 Ahlehadees , Hanfi , Shafayi , Malki , Hanbali , Mirzaayi , Shia nay mil kar Qurbani kardi to Qurbani hogayi ya nahi ?
• SAWAL NUMBER 16 = 1 Aadmi 20 Nisaboon ka Maalik hay wo 1 hi Qurbani karay ya 20 ?
• SAWAL NUMBER 17 = Haathi , Khacher , Ghordhay ki Qurbani may kitnay Hissay daar shareek hosaktay hain ?
• SAWAL NUMBER 18 = Bijjo , Goouh , Karla , Mendak , Murg , Machli ki Qurbani jayiz hay ya nahi ? Sareeh Hadees say jawab dain ¤
• SAWAL NUMBER 19 = Murgi , Battakh , Churdhiya , Kachhway kay Anday ki Qurbani jayiz hay ya nahi ? Sareeh Hadees pesh karain ¤
• SAWAL NUMBER 20 = Zaid Fout hogaya us nay Biwi , Larka aur Gaaye chordhi donoon nay us ki Qurbani kardi jayiz hay ya nahi ?
• SAWAL NUMBER 21 = Qurbani ka Gosht Took ka Taqseem karna chahiye ya andazay say bhi jayiz hay ? Hadees may kiya hukum hay ?
• SAWAL NUMBER 22 = Qurbani ka Gosht kisi Hanfi , Shafayi , Maalki , Hanbali , Barelvi ko dena jayiz hay ya nahi ?
• SAWAL NUMBER 23 = Qurbani ki Gaaye may Aqeeqa'h ya Nazar ka hissa'h shamil karna Hadees may mana'a hay ya jayiz ?
• SAWAL NUMBER 24 = Qurbani kay Jaanwar may Jamat ul Muslimeen ya Qadyaani ka hissa'h shaamil karna Hadees ki Rou say jayiz hay ya nahi ?
• SAWAL NUMBER 25 = Qurbani ka jaanwar kisi Jamat ul Muslimeen walay say Zibah karana jayiz hay ya nahi ?
• SAWAL NUMBER 26 = Qurbani ka jaanwar koi Kafir bagair BISMILLAH kahay Zibah karday to Qurbani jayiz hay ya nahi ?
• SAWAL NUMBER 27 = Qurbani kay bajaaye us ki Qeemat apnay Ahbaab may Taqseem karday to Qurbani ka Savaab mil jaye ga ya nahi ?
• SAWAL NUMBER 28 = Ahlehadees nay Hanfi kay pechay NAMAZ pardh kar Qurbani karli ye Qurbani jayiz hay ya nahi ?
• SAWAL NUMBER 29 = NAMAZ E EID pardh kar Qurbaaniyaan karleen baad may pata'h chala k EID ka IMAM bay Wazu'o ya bay Ghusal tha to ye Qurbaniyaan hogayeen ya dubara karna pardhain gi ?
• SAWAL NUMBER 30 = 1 Shukhsh nay siray say EID ki NAMAZ hi nahi pardhi logoon kay sath Qurbani karli ye Qurbani hogayi ya nahi ?
• SAWAL NUMBER 31 = Zibah may kitni Ragain kaantna shart hain un ki Ta'adaad aur Name Saheeh Hadees say bayaan farmaayain ?
• SAWAL NUMBER 32 = Gaaye ko Qurbani kay liye Litaanay lagay wo Zibah say pehlay Gir kar Langhrdhi hogayi ya Kaani hogayi ab us ki Qurbani jayiz hay ya nahi ?
• SAWAL NUMBER 33 = Qurbani ki Khaal ya Qurbani ka Gosht Imam Masjid ko dena Jayiz hay ya nahi ?
• SAWAL NUMBER 34 = Qurbani ki Khaal Qasaayi ko Aujrat may day di ab Talaafi ki kiya surat hay ?
• SAWAL NUMBER 35 = AANHAZRAT SALLALLAHU ALAHI WASALLAM Qurbani EID GAAH may kiya kartay thay ya Ghar ya Gal'y may ?
• SAWAL NUMBER 36 = Aaj kal Loog Ghar ya Gal'y may Qurbani kartay hain is kay jawaaz ki koi Sareeh Hadees Tehreer farmaayain ?
• SAWAL NUMBER 37 = Aaj kay Germuqallid Chothhay Din Qurbani karnay ko ziyadah savaab samajhtay hain kiya kabhi AAN HAZRAT SALLALLAHU ALAHI WASALLAM nay bhi ziyaadti savaab ki Niyat say Chothhay Din Qurbani ki thi ?
• SAWAL NUMBER 38 = Jo SAHABA KIRAAM RAZI ALLAHU AUNHUM 3 Din Qurbani kay Qaayil thay wo khilaaf e Hadees apni Raaye par jamay rahay ya un kay paas bhi koi Saheeh Hadees thi ?
• SAWAL NUMBER 39 = Raat ko Qurbani karna jayiz hay ya nahi ?
• SAWAL NUMBER 40 = Qurbani kay din Guzer gaye , Ab is ki Talaafi ki Hadees may kiya surat hay ?
• SAWAL NUMBER 41 = Qurbani ka jaanwar Gom hogaya Dusra khareeda phir Pehla bhi mil gaya ab Donoon ki Qurbani karay ya kisi 1 ki ?
• SAWALAAT kay Jawabaat day kar Shukriya'h ka Mouqa'h dain¤

• TAJALLIYAAT E SAFDAR Page num 273 to 276 Jild num 5 •

No comments:

Post a Comment